Aasan hai kya...... 😊

 Ek shrd sham, basheron ko laute panchi, apne ghr ko jata suraj aur mai..... 

Mai, mai jaise thak haar baithi, khud ka wajood talasti, apne ashiyane se milon dur.... 

Jate hue logon ki bakar, gadiyon ke horn, sb, sb jaise thma sa mere liye, kuch sawal the jo krna tha khud se, aur jmane se..... 

Jinhe hmesha fikr hoti meri, hr shm matha sahla kr apne ps bithate, hr sawal-jawab se pre mujhe befikr ho jina shikhate, girne pr sambhalte, bachpan me kandhe pr bitha ke tehalate, jb kbhi udasi ho chehre pr mere, bewajah ki batain kr hnsate....... 

Itna waqt gujra, itne satrangi sapne bune maine, itni bewajah khwaish kri maine, itni atrangi si hasrtain  rhi meri, sb, sb yun palak jhapkate puri kri unhone...... 

Aaj sb sunya hai mere liye , sapne dekhe jo, unme apne sth unki bhi khwaishon ko bhi sanjoya tha, aur aaj, aaj jamana khta hai 'betiyan to parai hoti hai..... 

Betiyan parai hoti to unka apna hai kaon......???? 

Ye sawal puchna hai jmane se, ye atrangi hasratain, ye satrangi sapne, ye khwahishain, sb, sbme unki hi to jalak hai, ye sb bhi to paraye hue, mujhme jo mai hoon, vo bhi kya khud bna pai hoon main, is sb prayepn ke bina bhavheen hoon main..... 

Is Sare bhav ko anant se samet kr sunya pr lana, aur lane bd kya jamana apnayega mujhe....

Janti hoon , in sawalon ke jawab nhi milte, kh diya jata hai, 'ye to duniya ki rasm hain', ye sb dalilain bewajah hain meri, sb khwab mujhe piche chhod ek nai duniya bnana hai, naye logon ko apnna hai..... 

Fir bhi mn nhi manta..... 

Khta hai 'un sawalon ke sth jina jinka koi ashtitvya nhi, jo khwaishon se khali kr rhe hon mujhe'........ "Asan hai kya"......????? 

Thnx..... 😊

Comments